Choisissez 1 livre audio par mois dans notre incomparable catalogue.
Écoutez à volonté des milliers de livres audio, de livres originaux et de balados.
Accédez à des promotions et à des soldes exclusifs.
L'abonnement Premium Plus se renouvelle automatiquement au tarif de 14,95 $/mois + taxes applicables après 30 jours. Annulation possible à tout moment.
Page de couverture de Family Drama Stories by Delhi Press, Season 3

Family Drama Stories by Delhi Press, Season 3

Auteur(s): Delhi Press
Narrateur(s): Shashi Chaturvedi
Essayer pour 0,00 $

Après 30 jours, 14,95$/mois. Annulable en tout temps.

  • Résumé

  • Audible prastut karta hai Family Drama Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Paarivarik sambandh gehre hote hain lekin kaafi naazuk bhi hote hain. Kayi baar ek hi ghar mein rehte huye bhi parivaar ke sadasya ek doosre ko nahin samajh paate. Lagaav ke saath ek doosre ke prati dwesh, gussa aur kadvahat aane lagti hai jab samaajik mulya aur apni soch mein antar hota hai. Shaadi ke baad aksar rishton mein badlaav aane lagta hai aur mahilaon ko ek naye parivaar mein jagah banaane mein dikkat aati hai. Saas-sasur bahu ko kabhi beti ki tarah apna lete hain aur kabhi unko paraaya samajhte hain. Samvedansheel aur manoranjak drishti se paarivarik rishton ko prastut karti yeh kahaniyan ghar, samaaj aur badalte samay ki jhalak deti hain. Har ghar ki kahani vishesh hai, lekin har kahani mein aapko apne ghar ka koi sadasya, apne parivaar ki paristhityan bhi zaroor milengi!
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Voir plus Voir moins
Épisodes
  • झूठा सच
    May 12 2022
    Kanchan aur Pankaj ki shaadi ho gayi thi. Kanchan apne naye parivaar mein kaafi khush thi. Lekin ek din use laga ki uski saas usse kuchh chhupa rahi hai. Use pata chala ki parivaar ke kaafi raaz the jo vah abhi tak nahin jaanti thi. Shayad vah jise sach samajh rahi thi vah sirf dikhawa tha kyunki ma-bete ko ek bada ghar khareedne ki khwahish thi. Kanchan ne jab apne pati se sach poochha toh vah dukhi ho gaya. Vah Kanchan ko khona nahin chaahta tha.
    Voir plus Voir moins
    20 min
  • कृष्णिमा
    May 12 2022
    Kedar aur Ketaki ki shaadi ko kayi saal beet chuke the lekin bachche ki ummeed kam lag rahi thi. Ketaki chaahti thi ki adhunik technique se bachcha prapt kiya jaaye lekin Kedar bachcha god lena chaahta tha. Uske mata-pita ko yah baat theek nahin lagi kyunki bachche ka dharm unse alag ho sakta tha. Kedar ne unki baat nahin maani aur anathalaya se beti ko god le liya. Jab vah ghar pohoncha toh dekha ki uske mata-pita bachche ke swagat ke liye taiyyar the.
    Voir plus Voir moins
    19 min
  • मदर्स डे: माय स्मार्ट मॉम
    May 12 2022
    Priya college ki sabse khoobsoorat ladkiyon mein thi, magar uski ma Kusum usse bhi zyada smart thi. Priya ko pata chala ki uska boyfriend Vikas ek mahila se prem karne laga hai. Uski saheli ne bataya ki Vikas wahi gym trainer tha jo uski ma ke peechhe pada hua hai. Yah sun kar Priya ko kaafi sadma laga. Usne apni ma ko Vikas se door rehne ko kaha. Vikas ne ek din Kusum ko dinner par bulaya aur wahan shaadi ke liye propose kiya. Kusum ne usko sach bataya aur wahan se chali gayi.
    Voir plus Voir moins
    13 min

D'autres livres audio du même...

Ce que les auditeurs disent de Family Drama Stories by Delhi Press, Season 3

Moyenne des évaluations de clients

Évaluations – Cliquez sur les onglets pour changer la source des évaluations.